kabhi taqsir jis ne ki hi nahin

kabhi taqsir jis ne ki hi nahin
hum se puchho to aadmi hi nahin

mar chuke jite-ji khusha qismat
is se achchhi to zindagi hi nahin

dosti aur kisi gharaz ke liye
wo tijarat hai dosti hi nahin

ya wafa hi na thi zamane mein
ya magar doston ne ki hi nahin

kuchh meri baat kimiya to na thi
aisi bigdi ki phir bani hi nahin

jis khushi ko na ho qayam-o-dawam
gham se bad-tar hai wo khushi hi nahin

bandagi ka shuur hai jab tak
banda-parwar wo bandagi hi nahin

ek do ghunt jam-e-wahdat ke
jo na pi le wo muttaqi hi nahin

ki hai zahid ne aap duniya tark
ya muqaddar mein us ke thi hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close