kaam aisa main koi kar jaun aap ke qalb mein utar jaun tham lo hath tum agar mera main nikhar jaun main sanwar jaun ban gaya but main dekh kar tum ko dil mein tha dekh kar guzar jaun itni shiddat se tum ko chaha hai tum ko pa lun agar to mar jaun tum bhulae bhula nahin saktin main nasha wo nahin utar jaun aise 'zuhaib' aaj tuta hun koi chhu le to main bikhar jaun