kisi ne teri surat dekh li hai yahi samjho qayamat dekh li hai abhi anjam-e-dil malum kya hai aji tum ne to aafat dekh li hai ki iza hijr ki dekhi kahan thi faqat teri badaulat dekh li hai churaata hai wo kafir aankh mujh se nigah-e-chashm-e-hasrat dekh li hai sharafat aaj hum ne tark kar di zamane ki sharafat dekh li hai zara shikwa kiya tha aaj un se are ulti nadamat dekh li hai sambhal jao miyan 'zuhaib' tum bhi tumhaari sab ne aadat dekh li hai