kaam baqi hai abhi kaam abhi baqi hai sar-e-aghaz hai anjam abhi baqi hai razm-e-afkar mein fursat hai kahan ahl-e-jahan dard ki god mein aaram abhi baqi hai hum ne har sans ko sadqa kiya duniya pe teri han hisab-e-diram-o-dam abhi baqi hai qatl-gahon mein utarta hai abhi sannata abhi thahro yahan kohram abhi baqi hai raushni ho na ho jalta hai shabistan-e-wajud in siyah shoalon ka ikram abhi baqi hai naghma-e-sur karusedi tamanna hi sahi dosto gardish-e-ayyam abhi baqi hai bu-lahab ibn-e-mughira bhi abu-jehl bhi hai marka jari hai islam abhi baqi hai jagna hai jinhen ye soch ke so jate hain raat baqi hai abhi sham abhi baqi hai bahr-e-iblis mein tufan hain pinhan kitne kahin hizyan kahin sarsam abhi baqi hai