kaam ishq-e-be-sawal aa hi gaya

kaam ishq-e-be-sawal aa hi gaya
khud-ba-khud us ko khayal aa hi gaya

tu ne pheri lakh narmi se nazar
dil ke aaine mein baal aa hi gaya

do meri gustakh nazron ko saza
phir wo na-gufta sawal aa hi gaya

zindagi se lad na paya josh-e-dil
rafta rafta e'tidal aa hi gaya

husn ki khalwat mein darraata hua
ishq ki dekho majal aa hi gaya

gham bhi hai ek parda-e-izhaar-e-shauq
chhup ke aansu mein sawal aa hi gaya

wo ufuq par aa gaya mehr-e-shabab
zindagi ka mah-o-sal aa hi gaya

be-khudi mein kah chala tha raaz-e-dil
wo to kahiye kuchh khayal aa hi gaya

hum na kar pae khata buzdil zamir
le ke taswir-e-maal aa hi gaya

ibtida-e-ishq ko samjhe the khel
marne jine ka sawal aa hi gaya

lakh chaha hum na len gham ka asar
rukh pe ek rang-e-malal aa hi gaya

bach ke jaoge kahan 'mulla' koi
hath mein le kar gulal aa hi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close