junun ka daur hai kis kis ko jaen samjhane

junun ka daur hai kis kis ko jaen samjhane
udhar bhi hosh ke dushman idhar bhi diwane

karam karam hai to hai faiz-e-am is ka shiar
ye dasht hai wo gulistan sahab kya jaane

kisi mein dam nahin ahl-e-sitam se kuchh bhi kahe
sitam-zadon ko har ek aa raha hai samjhane

bashar ke zauq-e-parastish ne khud kiye takhliq
khuda-o-kaba kahin aur kahin sanam-khane

ulajh ke rah gai husn-e-naqab mein jo nazar
wo husn-e-jalwa-e-zer-e-naqab kya jaane

is irtiqa-e-tamaddun ko kya kahun 'mulla'
hain shamen shokh-tar aawara-tar hain parwane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close