kaam jab karta hai insan azm-e-insani ke sath pher deta hai wo dariya ka bhi rukh pani ke sath waqt jab se ho gaya un ki sitam-rani ke sath ghar bhi viran ho gaya hai dil ki virani ke sath us ka andaz-e-takallum kis ke bas ki baat hai wo to kante bhi chubhota hai gul-afshani ke sath aaj samjhate hue naseh ne aakhir kah diya kaun maikhane se nikle pak-damani ke sath kitne parde mujh pe the jab sher main kahta na tha main bhi ruswa ho gaya apni ghazal-khwani ke sath khair ab tak jis tarah guzri guzari ai 'zuhur' zindagi ab to guzaro pak-damani ke sath