bayan-e-shauq na kuchh arz-e-iltija ke liye bas ek jalwa dikha dijiye khuda ke liye bahut sunae hain afsane parsai ke bas ab zaban na khulwaiye khuda ke liye yahan khulus-o-mohabbat ka tazkira kaisa yahan to dard bhi milta nahin dawa ke liye kahan tak aap ki zinat pe jaan nisar karen kahan tak aap ko hum khun den hina ke liye har ek samt hain ibn-e-ziyaad ke paikar zamin dhundte phirte hain karbala ke liye huzur-e-husn 'zuhur' aansuon se kaam liya mile na jab kahin alfaz muddaa ke liye