kaam-jui rah-o-rasm-e-am hai

kaam-jui rah-o-rasm-e-'am hai
jaan-nisaron ko wafa se kaam hai

husn ki fitna-nigahi kam nahin
'ishq hi par kyon ye sab ilzam hai

khun-e-ahl-e-dil se jo rangin hai
aisi duniya se mujhe kya kaam hai

aap aur hon meri barbaadi pe shad
kya mohabbat ka yahi anjam hai

sahab-e-zauq-e-nazar to ho koi
hum ne mana tera jalwa 'am hai

dekh kar dar-o-rasan himmat na haar
manzil-e-maqsud bas do-gam hai

zarre-zarre mein ye josh-e-inqalab
us nigah-e-‘ishwa-gar ka kaam hai

wa'iz-e-khush-go ki baaton par na ja
us ke mai-khane mein khali jam hai

dekh kar tewar tere badle hue
sari duniya larza-bar-andam hai

hai wo ek takhil-e-rangin ki bahaar
wa’izon mein jis ka jannat nam hai

danish-e-imroz ke sarmaya-dar
teri fikr-e-sud-e-'alam kham hai

husn ki 'akhtar' ghalat-bakhshi na puchh
bul-hawas par lutf hai in'am hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close