kaam ki baat main ne ki hi nahin ye mera taur-e-zindagi hi nahin ai umid ai umid-e-nau-maidan mujh se mayyat teri uthi hi nahin main jo tha us gali ka mast-e-khiram us gali mein meri chali hi nahin ye suna hai ki mere kuch ke baad us ki khushbu kahin basi hi nahin thi jo ek fakhta udas udas subh wo shakh se udi hi nahin mujh mein ab mera ji nahin lagta aur sitam ye ki mera ji hi nahin wo jo rahti thi dil-mohalle mein phir wo ladki mujhe mili hi nahin jaiye aur khak udaiye aap ab wo ghar kya ki wo gali hi nahin hae wo shauq jo nahin tha kabhi hae wo zindagi jo thi hi nahin