kaam kuchh aise kar gaya hun main apni aankhon ko bhar gaya hun main zindagi tujh se baat karni hai zindagi tujh se dar gaya hun main ab to main aur bhi bura hun ki ab ziyaada sudhar gaya hun main us se kah do ki wo nahin roe us se kah do ki mar gaya hun main zat puchho to ek shair hun apni hi zat par gaya hun main