kaam kuchh to mera lahu aaya bagh mein mausam-e-numu aaya hijr mein tere mujh pe kya guzri aaj tak puchhne na tu aaya jis tarah main ne tujh ko yaad kiya yaad yun kab kisi ko tu aaya tera kucha hai ya koi maqtal jo bhi aaya lahu lahu aaya main usi ki tarah mila us se aaina ban ke ru-ba-ru aaya khatm daur-e-khayal-o-khwab hua lamha-e-tark-e-arzu aaya raste der tak rahe raushan dur tak mere sath tu aaya yaad aai kisi ki phir 'khawar' dil se aankhon mein phir lahu aaya