har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai har naghma sar-e-bazm-e-tarab aur hi kuchh hai arbab-e-wafa jaan bhi dene ko hain tayar hasti ka magar husn-e-talab aur hi kuchh hai ye kaam na le nala-o-faryaad-o-fughan se aflak ulat dene ka dhab aur hi kuchh hai ek silsila-e-raaz hai jina ki ho marna jab aur hi kuchh tha magar ab aur hi kuchh hai kuchh mehr-e-qayamat hai na kuchh nar-e-jahannam hoshyar ki wo qahr-o-ghazab aur hi kuchh hai mazhab ki kharabi hai na akhlaq ki pasti duniya ke masaib ka sabab aur hi kuchh hai behuda-sari sajde mein hai jaan khapana aain-e-mohabbat mein adab aur hi kuchh hai kya husn ke andaz-e-taghaful ki shikayat paiman-e-wafa ishq ka jab aur hi kuchh hai duniya ko jaga de jo adam ko bhi sula de sunte hain ki wo roz wo shab aur hi kuchh hai aankhon ne 'firaq' aaj na puchho jo dikhaya jo kuchh nazar aata hai wo sab aur hi kuchh hai