kaam mujh se koi hua hi nahin baat ye hai ki main to tha hi nahin mujh se bichhdi jo mauj-e-nikhat-e-yar phir main us shahr mein raha hi nahin kis tarah tark-e-muddaa kije jab koi apna muddaa hi nahin kaun hun main jo raegan hi gaya kaun tha jo kabhi mila hi nahin hun ajab aish-e-gham ki haalat mein ab kisi se koi gila hi nahin baat hai raste pe jaane ki aur jaane ka rasta hi nahin hai khuda hi pe munhasir har baat aur aafat ye hai khuda hi nahin dil ki duniya kuchh aur hi hoti kya kahen apna bas chala hi nahin ab to mushkil hai zindagi dil ki yani ab koi majra hi nahin har taraf ek hashr barpa hai 'jaun' khud se nikal ke ja hi nahin mauj aati thi thaharne ki jahan ab wahan khema-e-saba hi nahin