kaam na aai kuchh bhi yaro mere raqibon ki bad-KHui

kaam na aai kuchh bhi yaro mere raqibon ki bad-khui
fazl-e-khuda se hua ziyaada ishq mera us ki khush-rui

hans kar dekhe to khil jaun wo munh phere to murjhaun
mere ehsasat ko us ne kar dala chhui-mui

aap ke marham se to mere zakhm hue hain aur ziyaada
aap hi thahre chaaragar to kis ko majal-e-chaara-jui

khizan mein bhi hun chaak-gareban rafu karun aakhir main kab tak
kahan ka daman kaisi bakhiya bhad mein jae dhaga sui

allah se hai tujh ko ulfat huron se hai tujh ko raghbat
ye to bata zahid sajde mein hoti hai kaise yaksui

mere hi kahne par 'shahid' chhup kar milne aaya tha wo
logon ne ye baat zara si shahr mein kar di rui rui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close