kaam sab ghair-zaruri hain jo sab karte hain aur hum kuchh nahin karte hain ghazab karte hain aap ki nazron mein suraj ki hai jitni azmat hum charaghon ka bhi utna hi adab karte hain hum pe hakim ka koi hukm nahin chalta hai hum qalandar hain shahanshah laqab karte hain dekhiye jis ko use dhun hai masihai ki aaj kal shahr ke bimar matab karte hain khud ko patthar sa bana rakkha hai kuchh logon ne bol sakte hain magar baat hi kab karte hain ek ek pal ko kitabon ki tarah padhne lage umr bhar jo na kiya hum ne wo ab karte hain