main tujh se lakh bichhad kar yahan wahan jata meri jabin se sajdon ka kab nishan jata zamin mujh ko samajhti na aasman koi gunahgar hi kahlata main jahan jata nasib se to mile the faqat ye khali hath farakh-dil wo na hota to main kahan jata mujhe khabar na thi is ghar mein kitne kamre hain main kaise le ke wahan sari dastan jata main ek gunj ki manind lautta us tak jahan se mujh ko bulata main bas wahan jata