kab aaega wo shahzada tauba hai khol ke baithi hun darwaza tauba hai ab tujh se milne ki khatir sajti hun nak mein moti munh par ghaza tauba hai chae mere hath se girne wali thi us ne is andaz se ghura tauba hai honton par wo aankhen jaise thahri hain titli par ek bhanwra chhoda tauba hai sharm se pani ho jaane ko chahe ji jud kar mere sath hai baitha tauba hai aks usi ka mujh ko dikhne lagta hai jab bhi takti hun aaina tauba hai yun hi bartan mez pe ab tak rakhe hain ghusse mein kyon nashta chhoda tauba hai is par kala asmani aur peach color jachta hai har rang ka joda tauba hai chudi tode chutki kate chhup jae meri us dildar se tauba tauba hai