badli hui dildar nazar dekh rahe hain

badli hui dildar nazar dekh rahe hain
dekhi nahin jati hai magar dekh rahe hain

kuchh logon ki nazron mein meri aabla-pai
kuchh log mera azm-e-safar dekh rahe hain

hai samne un ke mere honton pe tabassum
lekin wo mera dida-e-tar dekh rahe hain

yun dekhte rahne mein basarat hi ganwa di
par ab bhi teri rahguzar dekh rahe hain

ek main ki faqat un ki taraf dekh raha hun
ek wo hain ki rab jaane kidhar dekh rahe hain

pahle to mere hath qalam kar diye aur ab
hairat se mera kar-e-hunar dekh rahe hain

'nasir' tere shanon pe tere chahne wale
ye bhi to ghanimat hai ki sar dekh rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close