kab baat ho baghair KHushamad wahan durust

kab baat ho baghair khushamad wahan durust
wo na-durust bhi jo kahen kahiye han durust

thode se din bahaar ke hain kis umid par
karte hain apne murgh-e-chaman aashiyan durust

kuchh main bhi apna haal-e-tabiat bayan karun
gar ho mizaj aap ka ai mehrban durust

us ko durusti-e-dil-e-ashiq se kya gharaz
jis bad-zaban ki nahin ab tak zaban durust

aankhon mein rah ki dil mein thahar tere waste
aarasta har ek makan har makan durust

har roz taziyana-e-zulf-e-daraaz se
tu ne bhi dil ko khub kiya meri jaan durust

aata hai samne jo wo ghaarat-gar-e-shakeb
ausan 'dagh' rahte hain apne kahan durust


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close