kafir wo zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf

kafir wo zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
phir us pe chashm-e-sehr-e-fan ek is taraf ek us taraf

hangam-e-rehlat dekhiye dil kis taraf apna jhuke
baithe hain shaikh-o-barhaman ek is taraf ek us taraf

zulfon ki ye sargoshiyan dil par balaen laengi
ghammaz hai garm-e-sukhan ek is taraf ek us taraf

ghairon ka majma aur tum pariyon ka jamghat aur hum
pahlu-ba-pahlu anjuman ek is taraf ek us taraf

dil ek tanha bich mein aankhen teri saffak do
shamshir-zan nawak-fagan ek is taraf ek us taraf

main mar gaya hun wasl mein rahat ho har pahlu mujhe
takiye hon do zer-e-kafan ek is taraf ek us taraf

tu aur dahne baen hon laila-o-shirin bazm mein
main aur qais-o-kohkan ek is taraf ek us taraf

donon farishte dosh par kya likh saken haalat meri
aaluda-e-ranj-o-mehan ek is taraf ek us taraf

rukhsar tere sim-gun phir us pe gul-gune ka rang
phula hai kya rang-e-chaman ek is taraf ek us taraf

itra raha hai 'dagh' kya hangam-e-gul-gasht-e-chaman
rangin-qaba gul-pairahan ek is taraf ek us taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close