kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin chalte rahne ke siwa dhyan aur kuchh tha hi nahin karb-e-manzil ka ho kya ehsas in ashjar ko jin ke sae mein musafir koi thahra hi nahin kis ko batlate ki aae hain kahan se kaun hain hum faqiron ka kisi ne haal puchha hi nahin kya talab karta kisi se zindagi ka khun-baha mujrmon mein mera qatil koi nikla hi nahin be-tahasha pyar ki daulat lutai umr bhar dosti ka hum ne kuchh anjam socha hi nahin ghumta paya gaya tha shahr mein wo ek din phir kisi ne tere diwane ko dekha hi nahin dosto 'khawar' sunae kya tumhein taza ghazal muddaton se us ne koi sher likkha hi nahin