hijr hai yas hai wahshat ka saman hai main hun umr thahre hue mausam mein rawan hai main hun mere daman mein jo ganjina-e-gul hai tu hai tere daman mein jo ek barg-e-khizan hai main hun az-zamin ta-ba-falak raat ka sannata hai aise aalam mein jo ye shor-e-fughan hai main hun dekh hijran mein khayalat-e-pareshan ka fusun ja baja aks tera raqs-kunan hai main hun taq-e-har-sham pe jalti hui ummid hai to ye jo bujhti hui hasrat ka dhuan hai main hun chashm-e-sad-naz hai paikan-e-sitam hai tu hai aur ek zakhm-e-jigar jaan-satan hai main hun barf jazbaat ki pighli hai meri hiddat se andarun tere jo ek shoala-fishan hai main hun