kab ek rang mein duniya ka haal thahra hai khushi ruki hai na koi malal thahra hai tadap rahe hain pade roz o shab mein uljhe log nafas nafas koi pechida jal thahra hai khud apni fikr ugati hai wahm ke kante ulajh ulajh ke mera har sawal thahra hai bas ek khandar mere andar jiye hi jata hai ajib haal hai mazi mein haal thahra hai kabhi nahin tha na ab hai khayal-e-sud-o-ziyan wahi to hoga jo apna maal thahra hai us ek baat ko guzre zamana bit gaya magar dilon mein abhi tak malal thahra hai junun ke sae mein ab ghar bana liya dil ne chalo kahin to wo aawara-haal thahra hai bade kamal ka nikla wo aadmi 'bilqis' ki be-hunar hai magar ba-kamal thahra hai