khud apni rah ki diwar kar diya gaya hun ye kis azab se do-chaar kar diya gaya hun wo chashm thi use binai le gai apni main aaina tha so zangar kar diya gaya hun main ek raaz tha makhfi tha khak mein apne abhi abhi hi main izhaar kar diya gaya hun wo din bhi dur nahin dost ye kahenge miyan ki main to aur bhi dushwar kar diya gaya hun tamam aankhen mujhe dekhne ko aati hain ajab tarah se numudar kar diya gaya hun to kya dikhana hai sab ko hi rasta haq ka to kya main qafila-salar kar diya gaya hun mere mazar ki ye khak chhan le duniya ki tere hath mein main mar kar diya gaya hun ye ishq hai ya koi ramz hai nahin malum badan se ruh se sarshaar kar diya gaya hun bahut ghurur tha mujh ko wajud par 'jawed' isi liye to nigun-sar kar diya gaya hun