kab gawara hai mujhe aur kahin par chamke

kab gawara hai mujhe aur kahin par chamke
mera suraj hai to phir meri zamin par chamke

kitne gulshan ki saje the mere iqrar ke nam
kitne khanjar ki meri ek nahin par chamke

jis ne din bhar ki tamazat ko sameta chup-chap
shab ko tare bhi usi dasht-nashin par chamke

ye teri bazm ye ek silsila-e-nikhat-o-nur
jitne tarik muqaddar the yahin par chamke

yun bhi ho wasl ka suraj kabhi ubhre aur phir
sham-e-hijran tere ek ek makin par chamke

aankh ki zid hai ki palkon pe sitare tuten
dil ki khwahish ki har ek zakhm yahin par chamke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close