ham-nashin aisi koi tadbir honi chahiye

ham-nashin aisi koi tadbir honi chahiye
mere qabze mein meri taqdir honi chahiye

khatm hona chahiye ab qissa-e-dair-o-haram
khanqah-e-zindagi tamir honi chahiye

imtiyaz-e-kufr-o-iman waqt par ho jaega
dawat-e-mai-khana aalamgir honi chahiye

aur badh jaen zara tishna-labi ki talkhiyan
daur-e-saghar mein abhi takhir honi chahiye

is tarah to nazm-e-alam muntashir ho jaega
khud-parasti qabil-e-tazir honi chahiye

rahzan-e-iman hain donon shaikh ho ya barahman
in se bachne ki koi tadbir honi chahiye

markaz-e-husn-o-mohabbat matla-e-mehr-o-wafa
dil ke aaine mein ek taswir honi chahiye

ta-ba-kai ye lan-tarani hoshiyar ai barq-e-tur
aarzu-e-did ki tauqir honi chahiye

ta-ba-kai ye be-niyazi ai harifan-e-sukhan
ab zaban-e-'raaz' aalamgir honi chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close