kab ghair hua mahw teri jalwagari ka tu puchh mere dil se maza be-khabari ka sauda jo gul-o-lala ko hai jeb-dari ka adna ye shagufa hai nasim-e-sahari ka kis ne lab-e-baam aa ke dikhaya rukh-e-raushan khurshid mein hai rang charagh-e-sahari ka apni ye ghazal hai ki paristan-e-sukhan hai parwaz-e-mazamin mein hai andaz pari ka kuchh kam nahin nazuk mere mazmun-e-kamar se shohra hai baja yar ki nazuk-kamari ka ek raat bhi ai mah na jagi meri qismat sunta tha bahut shor dua-e-sahari ka jis ne mujhe aagah kiya haal-e-jahan se kya lutf jamadat ko hai be-khabari ka ghurbat mein mila lutf kahin badh ke watan se hasil jo hua tujh se maza ham-safari ka us mah ki mahfil mein jo hai qahqaha-zan aaj hota hai bat-e-mai pe guman kabk-e-dari ka quran kahe deta hai ki hum haq ki zaban hain hota hai juda taur kalam-e-bashri ka aadam ki to man bhi na thi ai munkir-e-eajaz isa ko mila sirf sharaf be-pidri ka sarw-e-qad-e-dilbar ki jo taswir hai dil par ham-sang nahin lal-e-aqiq-e-shajari ka aankhen hain hasinon ki tere sabza-e-rukh par kyunki na ho mailan ghazalon ko chari ka chal tu bhi 'asar' le ke mata-e-dil-e-betab wo dekhne jate hain tamasha guzari ka