kab hai manzur ki yun jins-e-dil-e-zar bike

kab hai manzur ki yun jins-e-dil-e-zar bike
par ye wo shai hai na bechun bhi to sau bar bike

lauh-e-murtad pe ye mahmud ke likh dena tha
husn wo shai hai ki lete hi kharidar bike

so hi jawe mere talea ke barabar aa kar
kya ho gar bakht-e-adu bhi sar-e-bazar bike

hon khalish dost dua hai ki dawa ke badle
yarab is ahd mein dard-e-dil-e-bimar bike

bik ke yusuf ne kharida hai wo rutba ki na puchh
ye hi bikna hai to hum muft hi sau bar bike

poshish-e-kaba se kya kam hai agar dil par hai
chahiye mere gareban ka har ek tar bike

dekh kar ashk-e-musalsal ko wo aansu bhar lae
lakh moti ke ewaz do dur-e-shahwar bike

jab wo ghaarat-gar-e-iman hai to hairat kya hai
dair mein jubba bike kabe mein zunnar bike

hai shab-e-wasl-e-adu aur zamana mahjur
kyun na bistar ke liye gul ki jagah khar bike

kahte hain zulf mein rakhne ko hain kuchh dil darkar
talib us chiz ke hain jo pas-e-diwar bike

jama ai dast-e-junun aur kahan se laun
le rakhun mol agar daman-e-kohsar bike

asar-e-garmi-e-raftar hai ye bhi mera
ki bayaban mein bahut sukh ke ashjar bike

tum ho saqi to ajab kya hai ki maikhane mein
ewaz-e-sanat-e-jam saghar-e-sarshaar bike

khauf hai ye dil-e-be-tab na bar mein aa jae
hum na len mol jo wo turra-e-tarrar bike

ek bulbul rahe kis kis ki zulekhai mein
dher phulon ka jab aa kar sar-e-bazar bike

bar-e-isyan ko uthae hue phirta kab tak
muft hi tal dun 'salik' jo ye ambar bike


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close