khayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka na kuchh thikana mere guman ka na kuchh thikana mere yaqin ka na shauq mujh ko hai hur-e-in ka na pas-e-waiz hai apne din ka jo zikr karna hai gar yahin ka suna na jhagda kahin kahin ka kharab ku-e-butan hai khilqat yahin se pate hain ranj-o-rahat siphar-e-gardish mein kar na jurat ki daur aaya hai ab zamin ka shahid hone ki ye tamanna na dil se niklegi dekh lena uthae khanjar wo hath mein kya na yar sambhle jab aastin ka hazar nale zaban pe lata hazar mahshar abhi dikhata shab-e-judai agar na aata khayal us chashm-e-surmagin ka nishan-e-pa-e-adu ne mara ki tere dar par nahin gawara jhuke jo sajde ko sar hamara mitaen likkha hua jabin ka kahun matalib sab apne ji ke ye shart kije ki han na kije kaho nahin phir usi tarah se mujhe hai sunna nahin nahin ka jo puchhe mujh sa hai koi bad-zan kaho na ahwal-e-wasl-e-dushman ye main ne mana ki tum ho pur-fan ilaj kya chashm-e-sharmgin ka milegi mahshar mein dad ab kya ada-e-matlab mein hun main uljha bayan pahle hi kyun kiya tha tumhaare gesu-e-ambarin ka bayan-e-lutf-e-adu jafa hai ye tum se sau-bar kah diya hai phir ab ki sun lo nahin raha hai hamein bhi zabt aah-e-atshin ka ajab hai 'salik' bhi rind-mashrab ki chhod baitha hai millaten sab na manta hai kisi ka mazhab na hai ye paband apne din ka