kab haq-parast zahid-e-jannat-parast hai huron pe mar raha hai ye shahwat-parast hai dil saf ho to chahiye mani-parast ho aaina khak saf hai surat-parast hai durwesh hai wahi jo riyazat mein chust ho tarik nahin faqir bhi rahat-parast hai juz zulf sujhta nahin ai murgh-e-dil tujhe khuffash tu nahin hai ki zulmat-parast hai daulat ki rakh na mar-e-sar-e-ganj se ummid muzi wo dega kya ki jo daulat-parast hai anqa ne gum kiya hai nishan nam ke liye gum-gashta kaun kahta hai shohrat-parast hai ye 'zauq' mai-parast hai ya hai sanam-parast kuchh hai bala se lek mohabbat-parast hai