tum se multaji ho kar kya bataen kya paya dil ke muddai the hum dil ka muddaa paya ibtida-e-alam se intiha-e-alam tak tum ko ibtida dekha tum ko intiha paya sadgi-e-dil dekho e'tibar kar baithe ho gae usi ke hum jis ko aashna paya hum se puchhte kya ho apne dil se khud puchho hum ne tum se kya paya tum ne hum se kya paya aankh kholte hi kyun is qadar masarrat hai subh-dam 'munawar' kya tum ne kuchh pada paya