kab haqiqat wo bhala duniya mein jam-e-jam ki hai

kab haqiqat wo bhala duniya mein jam-e-jam ki hai
jo tumhaare mai-kade mein meri chashm-e-nam ki hai

main kisi ke lams ki tasir khud mein bhar to lun
aabru lekin mujhe pyari tumhaare gham ki hai

zulf ka har pech uljhaw mein dale hai magar
asal mein jadugari teri kamar ke kham ki hai

dekh lete hain to badhti hai talab kuchh aur bhi
go kahani samne ki zakhm par marham ki hai

khak mein pani mila kar aag par hai rakh diya
ab mujassam ko zarurat tujh hawa ke dam ki hai

rukh pe aanchal kis liye ye ajnabi lahja hai kyon
sarsarahat ye yaqinan hijr ke parcham ki hai

chal na paenge kisi ke waswase mujh par 'shajar'
padh kar us ke nam ki tasbih khud pe dam ki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close