kab ka guzar chuka hai wo mausam shabab ka ab zikr hai fuzul wafa ki kitab ka fursat mile to dekh zara dil ka aaina is mein hai aks tere gunah-o-sawab ka chup-chap haal-e-ahl-e-nazar dekhte raho hai kis ke pas waqt sawal-o-jawab ka har shakhs ghir gaya hai nae iztirab mein toda hai jis ne qufl dar-e-iztirab ka rakhta hai tere ru-e-hasin se mushabahat har shakh par saja hai jo chehra gulab ka kafi hai us ki zat ke irfan ke liye mauj-e-hawa ke dosh pe udna sahab ka 'shahid' jinhen khabar hai rumuz-hayat ki rakhte nahin hisab gham-e-be-hisab ka