kathin haalat mein apne iradon ko jawan rakhna hamein aata hai dil mein shoala-e-gham ko nihan rakhna akele ghar mein kaise waqt katoge tan-e-tanha koi taswir latka kar sar-e-diwar-e-jaan rakhna hamari fikr tum chhodo hamein ye kaam aata hai andheron mein basar karna nazar mein kahkashan rakhna ajal aur zindagi ki dosti ek harf-e-baatil hai bahut dushwar hai pani pe buniyaad-e-makan rakhna chaman par ek din fasl-e-khizan ka raj bhi hoga abas hai dil mein arman-e-bahaar-e-jawedan rakhna na jaane is mein poshida hain us ki hikmaten kya kya hamesha gardishon mein ye zamin-o-asman rakhna kahan aasan hai ahl-e-sukhan ki bhid mein 'shahid' juda auron se apna tarz-e-guftar-o-bayan rakhna