kab KHala mein suraj ki Dhaye se sham hoti hai

kab khala mein suraj ki dhaye se sham hoti hai
bad-dua si bad-surat shai se sham hoti hai

aaftab jab thak ke hauz se nikalta hai
tab sarab-zadon ki nai se sham hoti hai

ghonsle bulate hain panchhiyon ko pedon mein
jab faza mein chilon ki qai se sham hoti hai

kaun dekh pata hai raat ki siyahkari
din ko hosh aata hai mai se sham hoti hai

raushni ki sadkon par khauf gungunata hai
sar se raat aati hai lai se sham hoti hai

main pakad ke rakhta hun tirgi ko aankhon mein
kuchh samajh nahin aata kaise sham hoti hai

mere asr ka suraj baad-e-asr ugta hai
phir syahi ke haq mein jaise sham hoti hai

gate khatkhatata hun jab bhi der se 'aswad'
us ko raat lagti hai waise sham hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close