kab kisi gahre samundar ko hawa samjhegi

kab kisi gahre samundar ko hawa samjhegi
sath par tairti maujon ko nawa samjhegi

do badan dard ki lahron pe bhi mil sakte hain
is risalat ko kahan baad-e-saba samjhegi

ruh ka zakhm na padh paega gautam phir bhi
wo pujaran isi patthar ko khuda samjhegi

waqt kafir ki khudai hai gunahgar bahut
sari masum namazon ko qaza samjhegi

is haweli ki riwayat hi sharifana hai
khud ko nilam chadha kar bhi baja samjhegi

jaane kab utrega 'khurshid'-e-bashaarat mujh mein
kab ye tanhai mujhe ghaar-e-hira samjhegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close