gata raha hai dur koi hir raat bhar main dekhta raha teri taswir raat bhar taron ke tutne ki sada gunjti rahi hoti rahi hai raat ki tashhir raat bhar suraj ne subh-dam mere panw mein dal di main todta raha hun jo zanjir raat bhar main khamushi mein dub ke kuchh sochta raha kuchh bolti rahi teri taswir raat bhar main chal pada to kat ke wo qadmon mein aa giri latki hai mere sar pe jo shamshir raat bhar main so gaya 'rashid' to haala bikhar gaya sujhi na koi chand ko tadbir raat bhar