kab logon ne alfaz ke patthar nahin phenke wo khat bhi magar main ne jala kar nahin phenke thahre hue pani ne ishaara to kiya tha kuchh soch ke khud main ne hi patthar nahin phenke ek tanz hai kaliyon ka tabassum bhi magar kyun main ne to kabhi phul masal kar nahin phenke waise to irada nahin tauba-shikani ka lekin abhi tute hue saghar nahin phenke kya baat hai us ne meri taswir ke tukde ghar mein hi chhupa rakkhe hain bahar nahin phenke darwazon ke shishe na badalwaiye 'nazmi' logon ne abhi hath se patthar nahin phenke