dil hi rah-e-talab mein na khona pada mujhe hath apni zindagi se bhi dhona pada mujhe ek din mein hans pada tha kisi ke khayal mein ta-umr itni baat pe rona pada mujhe ek bar un ko pane ki dil mein thi aarzu sau bar apne aap ko khona pada mujhe barbaad ho gaya hun magar mutmain hai dil sharminda-e-karam to na hona pada mujhe dekhi gai na mujh se jo tufan ki bebasi kashti ko apni aap dubona pada mujhe jalwe kahan kisi ke bisat-e-nazar kahan zarre mein aaftab samona pada mujhe 'akhtar' junun-e-ishq ke maron ko dekh kar ahl-e-khirad hanse hain to rona pada mujhe