kab mausam-e-bahaar pukara nahin kiya hum ne tere baghair gawara nahin kiya duniya to hum se hath milane ko aai thi hum ne hi eatibar dobara nahin kiya mil jae khak mein na kahin is khayal se aankhon ne koi ishq sitara nahin kiya ek umr ke azab ka hasil wahin bahisht do chaar din jahan pe guzara nahin kiya ai aasman kis liye is darja barhami hum ne to teri samt ishaara nahin kiya ab hans ke tere naz uthaen to kis liye tu ne bhi to lihaz hamara nahin kiya