kab mili hai nazar hum nahin jaante

kab mili hai nazar hum nahin jaante
kab hui hai sahar hum nahin jaante

raat hai ya sahar hum nahin jaante
kaise hogi basar hum nahin jaante

aap hain jaan agar to jigar hum bhi hain
farq-e-jaan-o-jigar hum nahin jaante

puchhna hai to phir puchhiye barq se
kyon jala ghar ka ghar hum nahin jaante

dekhna hai jise dekhte hain use
ehtiyat-e-nazar hum nahin jaante

hum ne udna hai 'mufti' udenge zarur
rezish-e-baal-o-par hum nahin jaante


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close