KHair-andesh bane haq ki mazammat na kare

khair-andesh bane haq ki mazammat na kare
khun apna hai to apnon se baghawat na kare

resham-o-atlas-o-kam-khwab mein palne wala
hum faqiron se ulajhne ki himaqat na kare

bewafai ka agar husn ki khul jae bharam
koi bhule se bhi iqrar-e-mohabbat na kare

aise aain ko thukra ke chala jaunga
be-nawaon ki jo pur-zor himayat na kare

pas isi shakl mein donon ki guzar sakti hai
main bhi shikwa na karun tu bhi shikayat na kare

mujh ko tanhai ke zindan mein muqayyad kar do
jab talak aap ka ehsas malamat na kare

nakhuda soch zara dub ke gahrai mein
bughz ki lahr uthe aur shararat na kare

rishta-e-mehr-o-wafa aur bhi mazbut karo
taki insan kisi insan se nafrat na kare

yun na khelo mere jazbaat se tum sham-o-sahar
main hun diwana mujhe koi nasihat na kare

sabz gumbad ki ghani chhanw jo ho jae nasib
'mufti'-e-shahr kabhi khwahish-e-jannat na kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close