kab milta hai sukh-chain hamein kab gham se rihai hoti hai

kab milta hai sukh-chain hamein kab gham se rihai hoti hai
har waqt kaleja phunkta hai lab par jaan aai hoti hai

har waqt hai dil mein yaad teri nazron mein tere jalwe hain
man-mandir mein rahne wale kab tujh se judai hoti hai

chupke se bazm-e-tasawwur mein raaton ko koi aa jata hai
badh jati hai raunaq-e-bazm-e-dil jis dam tanhai hoti hai

tum kya samjho tum kya jaano chhalni dil kaise hote hain
ye dard-e-mohabbat kya shai hai kya chiz judai hoti hai

le de ke faqat ek dil hi tha so wo bhi kisi ne lut liya
duniya mein nahin kuchh bhi apna har chiz parai hoti hai

tap tap kar fikr ki bhatti mein ashaar jo dil se nikalte hain
wo sehr-e-mujassam hote hain un mein ranai hoti hai

jis desh mein ganga bahti hai us des ke basi papi hain
hoti hai jang zabanon par mazhab pe ladai hoti hai

duniya mein 'bahaar' sharafat ka koi bhi nahin pursan hota hai
makkaron dhoka-bazon ki ab to shunawai hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close