kab qahr se aashob-e-zamana se dari hun kab pani ke hamrah main tinke si bahi hun rasta bada pur-khar hai par jaan-e-tamanna main aabla-pa sath rahi sath chali hun kab rok sake mere azaem koi tufan chattan hun talwar ke sae mein pali hun jo rok sako rok lo is jazb-e-junun ko unche khade parbat se na tufan se ruki hun khwabon ki taraazu pe mujhe tolne wale main khwab nahin ek haqiqat ki kadi hun mujh se mera gul chhin sake kaun 'shagufta' majbur thi kal aaj main pairon pe khadi hun