jasta jasta mauj-e-tufani mein tha

jasta jasta mauj-e-tufani mein tha
aks us ka ham-safar pani mein tha

kya ye masjud-e-malaik hai wahi
khaliq-e-kaunain hairani mein tha

tegh par jis ke tha suraj ka lahu
sham ko wo marsiya-khwani mein tha

rukh pe zulfon ki ghata chhai hui
chand goya nim uryani mein tha

tirgi thi bas charaghon ke tale
aur gird-o-pesh tabani mein tha

jaan apni nazar ki jis dost par
wo bhi 'haidar' dushman-e-jaani mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close