kab se hum log is bhanwar mein hain

kab se hum log is bhanwar mein hain
apne ghar mein hain ya safar mein hain

yun to udne ko aasman hain bahut
hum hi aashob-e-baal-o-par mein hain

zindagi ke tamam-tar raste
maut hi ke azim dar mein hain

itne khadshe nahin hain raston mein
jis qadar khwahish-e-safar mein hain

sip aur jauhari ke sab rishte
sher aur sher ke hunar mein hain

saya-e-rahat-e-shajar se nikal
kuchh udanen jo baal-o-par mein hain

aks be-naqsh ho gae 'amjad'
log phir aainon ke dar mein hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close