main kahan karwan-e-shauq kahan ab wo tab sa jahan-e-shauq kahan kuchh to dil bhi hai zauq se khali aur kuchh wo zaban-e-shauq kahan kab rahi hai mata-e-dil bhi sath aur saudagaran-e-shauq kahan ishq bhi bebasi sa lagta hai dil bhi ab ham-zaban-e-shauq kahan be-hisi par hai zindagi 'azad' yar wo nukta-dan-e-shauq kahan