kab se raazi tha badan be-sar-o-samani par shab main hairan hua khun ki tughyani par ek chahkar ne sannate ka toda pindar ek nau-barg hansa dasht ki virani par kal bagule ki tarah us ka badan raqs mein tha kis qadar khush thi meri khak pareshani par mere honton se jo suraj ka kinara tuta ban gaya ek sitara teri peshani par kaun sa shahr-e-saba fath kiya chahta hun log hairan hain mere kar-e-sulaimani par