kab suni tum ne ragni meri guftani hai ye khamushi meri ek aahat se jagti hun main ek dastak hai zindagi meri abr-e-zulmat kise daraata hai aur phailegi chandni meri kaun thahrega dekhna ye hai daur-e-mina ya tishnagi meri aah aaya hi tha wo sapne mein dafatan aankh khul gai meri wajh-e-bechaini kya bataun main chain tera hai be-kali meri tujh pe guzre na aalam-e-wahshat tu na dekhe ye bebasi meri is ne rakkha jo samne saghar badh gai aur tishnagi meri main to sae se apne katraun dekh khud se ye kaj-rawi meri tum farozan ho ek sitare se mere andar hai raushni meri tujh ko dekhun ya kuchh nahin dekhun teri khwahish hai didani meri